Pair of Vintage Old School Fru


Bewafai Shayari

Bewafai Shayari

PAGE=20

Bewafai4
By : Gagan(Views : 1731)

Savera kya hua, sitaro ko bhul gaye.
Suraj kya aaya, chaand ko bhul gaye.
Guzre kya kuch pal humare bina,
Aap hume hi bhool gaye.

 

Bewafai3
By : Gagan(Views : 1546)

Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.

 

Bewafai2
By : Gagan(Views : 1562)

Hame itna pyar mat karna
ki duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana ki,
ham duniya ko chodne ke liye majboor ho jaye

 

Dil Me Hamare
By : Gagan (Views : 1455)

ye to jaangaye ki pyar to nahi tha aapko hamse
magar sochte hai kya woh yaari bhi joothi thi?
kya woh muskurahat sirf ek dikhawa tha?
aap door ho gaye
bas sawaal hi raha gaye dil me hamare

 

Mat Dekh
By :Gagan (Views : 1259)

mat dekh in nighao ko..
mat dekh in nighao ko...
yeh nazaro se maar deti hai
maine inhi aankho se dekha hai...
yeh kitno se pyaar karti hai....

Banzar Zameen Paaya
By : Gagan (Views : 1074)

pathzad ko apnate hai log yaha
koi nahi hai hume chahane wala
jahan dekha waha hariyaali paaya
bas apne kadmonke niche banzar zameen paaya

 

Maut Ka Paigam
By : Gagan (Views : 1200)

Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.

 

Dhoka
By : Gagan (Views : 2762)

Zindagi par humko ab nahi hain yakeen
yeh duniya ab nahi hain haseen
tum par atbaar karke badi bewakufi ki
nahi pata tha ki tum aise nikloge kabhi

 

Bewafaa Chand
By : Gagan (Views : 1410)

Kabhi to ki hogi suraj ne chand se mohabbat,
Tabhi to chand me daag hai,
Mumkin hai ki chand ne ki hogi bewafai,
Tabi to suraj Mein aag hai . .

 

A Chand
By : Gagan (Views : 1151)

a chand
kyo dekhata hai tu muze aise
ye rat dardase bhari hai
ja.tu so ja.
n muze milane yaha koi aanewala hai
n mera yaha koi sathi hai
jindagi ki baji har chuka hu mai.....
a chand
kyo dekhata hai tu muze aise
ye rat dardase bhari hai.
ja.tu so ja.

Tuze Barabad To Hona Hi Tha
By : Gagan (Views : 1101)

tuze barabad to hona hi tha..rahul
tuze barabad to hona hi tha..rahul
fakra kar.
fakra kar.
ki khudaki banai
sabase haseen kala-kriti se
tu barabad huva.

 

Kyo Sambhale Baitha Hai Tu
By : Gagan (Views : 1011)

kyo sambhale baitha hai tu in tukadonko
n wo kabhi wapas aaniwali hai
n tere dilake dukadonko koi maseeha hai
firabhi aapne ja sebhi jada
kyo sambhale baitha hai tu in tukadonko

 

Mai Kyo Bula Raha Hu Tumhe
By : Gagan (Views : 1056)

mai kyo bula raha hu tumhe
agar mai bulau mautako
to pata hai. wo nahi aayegi..par kabhi to aayegi.
par kitanabhi bulau tumhe.
tum kabhi nahi aawogi.pata hai muze.
firabhi mai kyo bula raha hu tumhe.
isase achha mautako hi bulau..wo kabhito aayegi

 

A Haseena
By : Gagan (Views : 975)

a haseena
mera katl karake, u na muzape has.
a haseena
mera katl karake, u na muzape has.
...par ye khuda
tu use isaki koi saja na suna.
gunahgar to maihi hu.
...aur sach to ye hai
ki usake hatho hajar bar katl hone
mai khushise taiyyar hu.

 

Bewafai1
By : Gagan(Views : 1318)

Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umr yehi aasra hi kaafi hai ...

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai ..

yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai.

Regards,

JAB TAK THA ZAMI PAR
By : Gagan (Views : 6729)

Hazaro fulon se sajaayi gayi hain meri kabr
Ek phool ki mahak kafi thi jab tak tha zami par

Utha lete the kal jo log apne shabdo ke zor par
Utha nahi paye apne kandhe ke zor par

Zukam de jaate hein ye thande ashq mere kafan ko bhigo kar
Bade garm the ve ashq jo sukh jaate the mere dilko bhigokar

Diya jalaakar aaj jo chale jaate hein meri kabr par
kambhaqt saath rehkar to jalte the jab tak tha zami par

 

Jawab De.......
By : Gagan (Views : 1471)

Mere Ek Sawal Hai Iska Jawab De
Hosake Tou Mere Is Ilteja Ka Jawab De
Tou Karte Hai Nafrat Ya Ke Pyar Mujhe Se
Meri Sirf Is Therir Ka Jawab De
Mein Na Phir Tujhe Chedonga Kabhi
Phir Na Kabhi Khaonga Ke Mujh Ko Jawab De
Barbad Hojonga Teri Intezar Mein
Hosake Tou Meri Is Tehrir Ka Jawab De
Chala Jaonga Tere Shaher Se Phir Na Aonga
Is Liya Meri Jaan Phele Mujh Ko Jawab De
Hatjaonga Hamesha Tere Raaste Se
Agar Is Per Teri Khoshi Hai Tou Mujh Ko Jawab De

 

Tere Pyar Mein
By : Gagan (Views : 1439)

Tere pyar mein duniya ko chhod diya,
Tujhe pane ke liye, har rishta tod diya,
Par tune ka kiya ai bewafa
Kisi aur ko pane ke liye mera dil tod diya.

 

Bharosa
By : Gagan (Views : 1228)

Kyo ham kisi par khud se jayda bharosa karte hai,
Wo hi hamari peeth mein Khanjar ghop dete hai,
Jab udana hi tha majak jindgi ka,
To kyo log pyar karne ka natak kiya karte hai !!!

 

Buj Gaya Bhi
By : Gagan (Views : 901)

Buj gaya bhi to kya apne dil ke diya,
Abh na roenge hum roshni ke liye,
Dil ka shisha jo tuta to gam kyu kare,
Dard kai hai bus zindagi ke liye...


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter